Hameeda Shaheen Shayari on Women in Hindi

Koun badan se aage dekhe aurat ko,
Sab ki aankhein girvi hain is nagri mein….
– Hameeda Shaheen
कौन बदन से आगे देखे औरत को,सब की आँखें गिरवी हैं इस नगरी में….– हमीदा शाहीन
Waseem Barelvi Shayari on Rishta

Hazaar tod ke aa jaaun us se rishta Waseem
Mein jaanta hun wo jab chahega bula lega
– Waseem Barelvi
हज़ार तोड़ के आ जाऊँ उस से रिश्ता वसीममैं जानता हूँ वो जब चाहेगा बुला लेगा– वसीम बरेलवी
Davar Ne Bande Bandon Ne Davar Bana Diye
Davar* ne bande bandon ne davar bana diye
Sagar ne qatre qatron ne sagar bana diye
Ishqabadi
*God
–
दावर* ने बंदे बंदों ने दावर बना दिया
सागर ने क़तरे क़तरों ने सागर बना दिया
इश्क़ाबादी
*ख़ुदा
Parveen Shakir – Aks-E-Khushboo Hun Bikharne Se Na Roke Koi
Aks-e-khushboo hun bikharne se na roke koi
Aaur bikhar jaaun to mujh ko na samete koi
– Parveen Shakir
–
Aaur bikhar jaaun to mujh ko na samete koi
– Parveen Shakir
–
अक्स-ए-ख़ुशबू हूँ बिखरने से न रोके कोई
और बिखर जाऊँ तो मुझ को न समेटे कोई
– परवीन शाकिर
Shahid Meer – Khush Rang Pairahan Se Badan To Chamak Uthe
Khush rang pairahan se badan to chamak uthe
Lekin sawaal ruh ki tabaniyon ka hai
Shahid Meer
–
ख़ुश-रंग पैरहन से बदन तो चमक उठे
लेकिन सवाल रूह की ताबानियों का है
शाहिद मीर
Aaina Shayari By Nizam Rampuri

अंदाज़ अपना देखते हैं आईने में वो
और ये भी देखते हैं कोई देखता न हो
– निज़ाम रामपुरी
Andaz apna dekhte hain aaine mein wo
Aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho
– Nizam Rampuri
Nushoor Wahidi – Hajaar Shama Farozan Ho Roshani Ke Liye
Hajaar shama farozan ho roshani ke liye
Nazar nahin to andhera hai aadmi ke liye
Nushoor Wahidi
–
हज़ार शम्अ फ़रोज़ाँ हो रौशनी के लिए
नज़र नहीं तो अंधेरा है आदमी के लिए
नुशूर वाहिदी
Akbar Allahabadi – Na Tajarba Kari Se Waiz Ki Ye Hain Baatein
Na tajarba kari se waiz ki ye hain baatein
Is rang ko kya jaane puchho to kabhi pe hai
Akbar Allahabadi
–
ना-तजरबा-कारी से वाइज़ की ये हैं बातें
इस रंग को क्या जाने पूछो तो कभी पी है
अकबर इलाहाबादी
Qabil Ajmeri – Hairaton Ke Silsile Soz-E-Nihan….
Hairaton ke silsile soz-e-nihan tak aa gaye
Hum nazar tak chahte the tum to jaan tak aa gaye
Qabil Ajmeri
–
हैरतों के सिलसिले सोज़-ए-निहाँ तक आ गए
हम नज़र तक चाहते थे तुम तो जाँ तक आ गए
क़ाबिल अजमेरी
