Chehra Shayari On Aaina

aaina shayari
chehra shayari on aaina

रंग चेहरे का ज़र्द कैसा है,
आईना गर्द-गर्द कैसा है….
काम घुटनों से जब लिया ही नहीं,
फिर ये घुटनों में दर्द कैसा है….

Rang Chehrey Ka Zard Kaisa Hai,
Aaina Gard-Gard Kaisa Hai….
Kaam Ghutnon Se Jab Liya Hi Nahin,
Fir Ye Ghutnon Mein Dard Kaisa Hai….

Chehra Shayari / चेहरा शायरी

Chehre ki har lakeer mein ek tajurba nihan hota hai
Ke umar kya ginte ho miyan chehre ki daraaron se
–
चेहरे की हर लक़ीर में एक तजुर्बा निहां होता है
के उमर क्या गिनते हो मियां चेहरे की दरारों से