
बड़े शहर में आकर जिंदगी चकमा दे गई,
दोस्त ज्यादा बन गए, दोस्ती फीकी पड़ गई….
Bade Shahar Mein Aakar Zindagi Chakma De Gayi,
Dost Jyada Ban Gaye, Dosti Fiki Pad Gayi….
बड़े शहर में आकर जिंदगी चकमा दे गई,
दोस्त ज्यादा बन गए, दोस्ती फीकी पड़ गई….
Bade Shahar Mein Aakar Zindagi Chakma De Gayi,
Dost Jyada Ban Gaye, Dosti Fiki Pad Gayi….
दुश्मनों से प्यार होता जाएगा,
दोस्तों को आज़माते जाइए….
– ख़ुमार बाराबंकवी
Dushmanon Se Pyar Hota Jayega,
Doston Ko Aazmate Jaiye….
– Khumar Barabankvi
जब दोस्त कह दिया है तो फिर खामियां न देख,
टुकड़ों में जो कुबूल हो वो दोस्ती नहीं….
Jab Dost Keh Diya Hai To Fir Khamiyan Na Dekh,
Tukdon Mein Jo Kubool Ho Wo Dosti Nahin….
मुझें नहीं आतीं उड़ती पतंगों सी चालाकियां,
गले मिलकर गला काटू ऐसा मांझा नहीं हूँ मैं….
Mujhe Nahin Aati Udti Patangon Si Chalakiyan,
Gale Milkar Gala kaatu Aisa Manjha Nahin Hun Mein….
खामोशियों में धीमी सी आवाज़ है,
तन्हाईयों में भी एक गहरा राज़ है।
मिलते नही हैं सबको अच्छे दोस्त यहाँ,
आप जो मिले हो हमें खुद पर नाज़ है।
Khamoshiyon Mein Dheemi Si Aawaz Hai,
Tanhayion Mein Bhi Ek Gehra Raaz Hai.
Milte Nahin Hain Sabko Achchhe Dost Yahan.
Aap Jo Mile Ho Humein Khud Par Naaz Hai.