Dil Pe Attitude Shayari

attitude shayari
attitude shayari

ताले लगा दिए दिल को अब तेरा अरमान नहीं,
बंद होकर खुल जाए ये तेरे बाप की दुकान नहीं….

Taley Laga Diye Dil Ko Ab Tera Arman Nahin,
Band Hokar Khul Jaye Ye Tere Baap Ki Dukan Nahin….

Cheekh Shayari On Dard

dard shayari
Cheekh Shayari On Dard

चीख़ कर दर्द बताऊँ और मज़ाक बन जाऊं,
बेहतर है रो लूँ ख़ुद ही मैं और राख़ बन जाऊं….

Cheekh Kar Dard Bataun Aur Mazak Ban Jaun,
Behtar Hai Ro Lun Khud Hi Mein Aur Raakh Ban Jaun….

Funny Shayari On Dil

Funny Shayari On Dil
Funny Shayari On Dil

सुलझा रहा हूँ जाने कबसे इस पहेली को,
तुम्हें दिल दूँँ या फिर तुम्हारी सहेली को….

Suljha Raha Hun Jane Kabse Is Paheli Ko,
Tumhein Dil Dun Ya Fir Tumhari Saheli Ko….

Tere Jane Ke Bad

judai shayari
Tere Jane Ke Bad

तेरे जाने के बाद….
लोगों ने हँस हँस कर खैरीयत पूछी मेरी!!

Tere Jane Ke Bad….
Logon Ne Hans Hans Kar Khairiyat Puchhi Meri!!

Fakat Lehze Raseeley Hote Hain

satya vachan on lehza
satya vachan on lehza

फकत लहज़े रसीले होते हैं,
अंदर से लोग ज़हरीले होते हैं….

Fakat Lehze Raseeley Hote Hain,
Andar Se Log Zehriley Hotey Hain….

Lafz Shayari On Aaina

Lafz Shayari On Aaina
Lafz Shayari On Aaina

लफ्ज़ ही होते हैं, इंसान का आईना.. शक्ल का क्या है?
वो तो उम्र और हालात के साथ.. अक्सर बदल जाती है….

Lafz Hi Hote Hain, Insan Ka Aaina.. Shakl Ka Kya Hai?
Wo To Umr Aur Halaat Ke Saath.. Aksar Badal Jaati Hai….

Aandhi Shayari On Tanhai

tanhai shayari
Aandhi Shayari On Tanhai

कभी पत्ते कभी तिनके कभी खुश्बू उड़ा लाई,
हमारे पास तो आँधी भी कभी तन्हा नहीं आई….

Kabhi Patte Kabhi Tinke Kabhi Khushbu Uda Layi,
Hamare Pas To Aandhi Bhi Kabhi Tanha Nahi Aayi….

Chehra Shayari On Aaina

aaina shayari
chehra shayari on aaina

रंग चेहरे का ज़र्द कैसा है,
आईना गर्द-गर्द कैसा है….
काम घुटनों से जब लिया ही नहीं,
फिर ये घुटनों में दर्द कैसा है….

Rang Chehrey Ka Zard Kaisa Hai,
Aaina Gard-Gard Kaisa Hai….
Kaam Ghutnon Se Jab Liya Hi Nahin,
Fir Ye Ghutnon Mein Dard Kaisa Hai….

Hasrat Shayari On Aandhi

Hasrat Shayari On Aandhi
Hasrat Shayari On Aandhi

आँधियाँ हसरत से अपना सर पटकती रहीं,
बच गए वो पेड़ जिनमें हुनर लचकने का था….

Aandhiyan Hasrat Se Apna Sar Patakti Rahin,
Bach Gaye Wo Ped Jinmein Hunar Lachakne Ka Tha….

Funny Shayari On Samosa

Funny Shayari On Samosa
Funny Shayari On Samosa

जुस्तजू जिसकी थी
उसको तो न पाया हमने,
पर उसकी गली में मिलने वाला
समोसा खूब खाया हमने 😌😋

Justju Jiski Thi
Usko To Na Paya Humne,
Par Uski Gali Mein Milne Wala
Samosa Khoob Khaya Humne 😌😋