Diwali Guzar Gayi Shayari

Guzarta nahin tha pal bhi jinke bagair
Dekho ye diwali guzar gayi unke bagair
गुजरता नहीं था पल भी जिनके बगैर
देखो ये दीवाली गुज़र गई उनके बगैर

Azhar Inayati – Chiragh Sher O Dhayari

Ye aur baat ki aandhi hamare bas mein nahin
Magar charaagh jalana to ikhtiyaar mein hai
– Azhar Inayati
ये और बात की आँधी हमारे बस में नहीं
मगर चराग़ जलाना तो इख़्तियार में है
– अज़हर इनायती

Ahmad Faraz – Hum Chiragh-E-Shab Hi Jab Thehre To Fir Kya Sochna

Hum chiragh-e-shab hi jab thehre to fir kya sochna
Raat thi kis ka muqaddar aur sahar dekhega koun
Ahmad Faraz
हम चिराग़-ए-शब ही जब ठहरे तो फिर क्या सोचना
रात थी किस का मुक़द्दर और सहर देखेगा कौन
अहमद फ़राज़