Rajesh Reddy – Mere Dil Ke Kisi Kone Mein Ek Masoom Sa Baccha

Mere dil ke kisi kone mein ek masoom sa baccha
Badon ki dekh kar duniya bada hone se darta hai
Rajesh Reddy
मेरे दिल के किसी कोने में एक मासूम सा बच्चा
बड़ों की देख कर दुनिया बड़ा होने से डरता है
राजेश रेड्डी

Saba Afghani – Ai Waaiz-E-Naadan Karta Hai Tu Ek Qayamat Ka Charcha

 Ai waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
Yahan roz nigaahein milti hain yahan roz qayamat hoti hai
Saba Afghani
ऐ वाइज़-ए-नादां करता है तू एक क़यामत का चर्चा, 
यहाँ रोज़ निगाहें मिलती हैं यहाँ रोज़ क़यामत होती है
सबा अफ़्ग़ानी