Azhar Adeeb Shayari On Diwali

 Parcham hun roshni ka mira ehatram kar
Tareekiyon ka rasta roke khada hun mein
– Azhar Adeeb
–
परचम हूँ रौशनी का मिरा एहतिराम कर
तारीकियों का रास्ता रोके खड़ा हूँ मैं
– अज़हर अदीब

Nazir Akbarabadi – Diwali Shayari

 Har ik makaan mein jala fir diya diwali ka
Har ik taraf ko ujala hua diwali ka
Nazir Akbarabadi
–
हर इक मकाँ में जला फिर दिया दिवाली का
हर इक तरफ़ को उजाला हुआ दिवाली का
नज़ीर अकबराबादी

Jaleel Manikpuri – Ya Khuda Dard-E-Mohabbat Mein Asar Hai Ki Nahin

 Ya khuda dard-e-mohabbat mein asar hai ki nahin
Jis pe marta hun use meri khabar hai ki nahin
Jaleel Manikpuri
–
या ख़ुदा दर्द-ए-मोहब्बत में असर है कि नहीं
जिस पे मरता हूँ उसे मेरी ख़बर है कि नहीं
जलील मानिकपुरी