Munawwar Hashmi – Ek Hi Masala Ta Umr Mira Hal Na Hua

ek hi masala ta umr mira hal na hua
neend poori na huyi khwab mukammal na hua
Munawwar Hashmi
एक ही मसअला ता-उम्र मिरा हल न हुआ
नींद पूरी न हुई ख़्वाब मुकम्मल न हुआ
मुनव्वर हाशमी
Hindi Shayari, Urdu Shayari, Roman Shyari, English Poetry, Neend Shayari, Khwab Shayari,

Ishq Ki Ruhani Shayari

ishq ruhani ho humse gar, to zafa milne ki ummeed na kar
pehle mujhmein zara khulkar jee to le, yu bewajah fanaa hone ki baat na kar
Unknown
इश्क़ रूहानी हो हमसे गर, तो ज़फा मिलने की उम्मीद न कर
पहले मुझमें ज़रा खुलकर जी तो ले, यूँ बेवजह फ़ना होने की बात न कर
अज्ञात

Karwachauth Shayari

 sundarta ki pratispardha apne poore shabab pe hai
aaj ek chand dusre chand ke intezar mein hai
Unknown
सुन्दरता की प्रतिस्पर्धा अपने पूरे शबाब पे है
आज एक चाँद दूसरे चाँद के इंतज़ार में है
अज्ञात
Happy Karwachauth

Surat Shayari

 ilahi kaisi kaisi suratein tu ne banayi hain
ki har surat kaleje se laga lene ke qabil hai
Unknown
इलाही कैसी कैसी सूरतें तू ने बनाई हैं
कि हर सूरत कलेजे से लगा लेने के क़ाबिल है
अज्ञात

Bashir Badr – Dushmani Jam Kar Karo Lekin

dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe
jab kabhi hum dost ho jayen to sharminda na hon
Bashir Badr
– 
दुश्मनी जम कर करो लेकिन ये गुंजाइश रहे
जब कभी हम दोस्त हो जाएँ तो शर्मिंदा न हों
बशीर बद्र

Muzaffar Razmi – Ye Jabr Bhi Dekha Hai

ye jabr bhi dekha hai tarikh ki nazron ne
lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza pai
Muzaffar Razmi
ये जब्र भी देखा है तारीख़ की नज़रों ने
लम्हों ने ख़ता की थी सदियों ने सज़ा पाई
मुज़फ्फर रज़मी