Sheri Bhopali Mohabbat Shayari – Abhi To Dil Mein Halki Si….

Mohabbat Shayari / Love Shayari

Abhi to dil mein halki si khalish mehsus hoti hai
Bahut mumkin hai kal iska mohabbat naam ho jaye
– Sheri Bhopali
अभी तो दिल में हल्की सी ख़लिश महसूस होती है
बहुत मुमकिन है कल इसका मोहब्बत नाम हो जाए
– शेरी भोपाली

Bichhadne Ke Koi Kaayde Kanoon To Hone Chahiye

bichhadne ke koi kaayde kanoon to hone chahiye
ye kya hua dil khaali tha to rehne lage, dil bhar gaya to chal diye
Unknown
बिछड़ने के कोई कायदे कानून तो होने चाहिए….
ये क्या हुआ दिल खाली था तो रहने लगे, दिल भर गया तो चल दिए….
अज्ञात

Kuchh Panne Bikhre Hain Bistar Par….

 kuchh panne bikhre hain bistar par, alfaazon aur aansuon se sarabor..
haan! aaj fir kamra band karke humne unki yaadon ka maila lagaya hai..
Unknown
कुछ पन्ने बिखेरे हैं बिस्तर पर, अल्फाज़ों और आँसूओं से सराबोर..
हाँ ! आज फिर कमरा बंद करके हमनें उनकी यादों का मेला लगाया है..
अज्ञात

Jaun Elia – Jo Ranayi Nigahon K Liye Samaan-E-Jalwa Hai

 

Jaun Elia Best Sher o Shayari
 –
Jo Ranayi Nigahon K Liye Samaan-E-Jalwa Hai
Libas-E-Muflisi Mein Kitni Be Qeemat Nazar Ati
Yahan To Jaazbiyat Bhi Hai Dolat Hi Ki Parwarda
Ye Larki Faaqa’kash Hoti To Bad’soorat Nazar Ati
Jaun Elia
जो रानाई निगाहों के लियें सामान-ए-जलवा है
लिबास-ए-मुफ़लिसी में कितनी बे क़ीमत नज़र आती
यहाँ तो जाज़बियत भी है दोलत ही की परवरदा
ये लड़की फाक़ाकश होती तो बद्सूरत नज़र आती
जौन एलिया

Jaun Elia – Sharm Dehshat Jhijhak Parishaani

sharm, dehshat, jhijhak, parishaani
naaz se kaam kyun nahin laitee
aap, wo, jee, magar, ye sab kya hai
tum miraa naam kyun nahin laitee
Jaun Elia
शर्म, दहशत, झिझक, परेशानी
नाज़ से काम क्यों नहीं लेतीं
आप, वो, जी, मगर ये सब क्या है
तुम मेरा नाम क्यों नहीं लेतीं
जौन एलिया

Jaun Elia – Meri Aql-o-Hosh Ki Sab Haalatein

meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanchein mein junoon ke dhaal deein
kar lia tha maine ahd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahein gale mein daal deein
Jaun Elia
मेरी अक्ल-ओ-होश की सब हालतें
तुमने साँचें में जुनू के ढाल दीं
कर लिया था मैंने अहद-ए-तर्क-ए-इश्क
तुमने फिर बाहें गले में डाल दीं
जौन एलिया

Yaqeen Inamullah Khan – Kya Badan Hoga Ki Jis Ke Kholte Jaame Ka Band

kya badan hoga ki jis ke kholte jaame ka band
barg-e-gul ki tarah har naakhun moattar ho gaya
Yaqeen Inamullah Khan

क्या बदन होगा कि जिस के खोलते जामे का बंद
बर्ग-ए-गुल की तरह हर नाख़ुन मोअत्तर हो गया

यक़ीन इनामुल्लाह खान