Diwali Shayari on Mitti Ka Diya

China ke diyon aur pataakhon ka bahishkaar karein
Chalo is diwali desh ki mitti se pyaar karein
चाईना के दियों और पटाखों का बहिष्कार करें
चलो इस दिवाली देश की मिट्टी से प्यार करें

Dr Kumar Vishvas – Diwali Shayari

Ghar ko deepak mile, aakash ko mehtaab mile,
Is diwali pe in aankhon ko, tera khwab mile.
Dr Kumar Vishvas 
#HappyDiwali
“घर को दीपक मिले, आकाश को महताब मिले, 
इस दिवाली पे इन आखोँ को, तेरा ख्वाब मिले.” 
डॉ कुमार विश्वास
#HappyDiwali

Dr. Muhammad Iqbal – Mita De Apani Hasti Ko Agar Kuchh Martabaa Chaahe

Mita de apani hasti ko agar kuchh martabaa chaahe
Ke daana khaaq me mil kar gul-o-gulzaar hota hai
– Allama Iqbal
*****
मिटा दे अपनी हस्ती को अगर कुछ मरतबा चाहे
कि दाना खाक़ में मिल कर गुलो-गुलज़ार होता है
– अल्लामा इक़बाल

Munawwar Rana Best Sher O Shayari

 Baadshahon ko sikhaya hai kalandar hona
Aap aasaan samajhte hain Munawwar hona
 Munawwar Rana
बादशाहों को सिखाया है कलंदर होना 
आप आसान समझते हैं ‘मुनव्वर’ होना
मुनव्वर राना

Shifa Gwaliari Best Sher O Shayari

Mili aisi bhi rahein mujhko aksar rahe ulfat mein
Ki khud ko ai ‘Shifa’ ghabra ke khud aawaaz di maine
– Shifa Gwaliari
मिलीं ऐसी भी राहें मुझको अक्सर राहे उल्फत में
कि खुद को ए “शफा” घबरा के खुद आवाज़ दी मैंने
– शिफा ग्वालियरी

Chehra Shayari / चेहरा शायरी

Chehre ki har lakeer mein ek tajurba nihan hota hai
Ke umar kya ginte ho miyan chehre ki daraaron se
चेहरे की हर लक़ीर में एक तजुर्बा निहां होता है
के उमर क्या गिनते हो मियां चेहरे की दरारों से