
रात भी नींद भी कहानी भी
हाए क्या चीज़ है जवानी भी
– फ़िराक़ गोरखपुरी
Raat Bhi Neend Bhi Kahani Bhi
Haye Kya Cheez Hai Jawani Bhi
– Firaq Gorakhpuri

रात भी नींद भी कहानी भी
हाए क्या चीज़ है जवानी भी
– फ़िराक़ गोरखपुरी
Raat Bhi Neend Bhi Kahani Bhi
Haye Kya Cheez Hai Jawani Bhi
– Firaq Gorakhpuri

दो किनारों का कहीं संगम नहीं होता,
मगर एक साथ चलना भी तो कोई कम नहीं होता!
Do Kinaron Ka Kahin Sangam Nahin Hota,
Magar Ek Sath Chalna Bhi To Koi Kam Nahin Hota!

छुप गए वो साज़-ए-हस्ती छेड़ कर
अब तो बस आवाज़ ही आवाज़ है
– असरार-उल-हक़ मजाज़
Chhup Gaye Wo Saz-e-Hasti Chhed Kar,
Ab To Bas Awaz Hi Awaz Hai….
– Asrarul Haq Majaz

कर लेता हूँ बर्दाश्त हर दर्द इसी आस के साथ,
कि ख़ुदा नूर भी बरसाता है आजमाइशों के बाद….
– जुम्मा मुबारक –
Kar Leta Hun Bardasht Har Dard Isi Aas Ke Saath,
Ki Khuda Noor Bhi Barsata Hai Aazmaishon Ke Baad….
– Jumma Mubarak –

फना इतना हो जाऊँ मैं तेरी ज़ात पर ए अल्लाह,
जो मुझे देख ले, उसे तुझसे मोहब्बत हो जाय….
– जुम्मा मुबारक –
Fanaa Itna Ho Jaun Mein Teri Zaat Par Ai Allah,
Jo Mujhe Dekh Le, Use Tujhse Mohabbat Ho Jaye….
– Jumma Mubarak –

दिलों के झुकने से होते हैं आबाद घर खुदा के,
सिर्फ सजदों से नहीं सजती वीरान मस्जिदें….
– जुम्मा मुबारक –
Dilon Ke Jhukne Se Hote Hain Aabad Ghar Khuda Ke,
Sirf Sajdon Se Nahin Sajti Viran Masjidein….
– Jumma Mubarak –

अंधेरों को नूर देता है,
उसका ज़िक्र सुरूर देता है,
उसके दर पर जो भी मांगता है,
खुदा उसे ज़रूर देता है….
– जुम्मा मुबारक –
Andheron Ko Noor Deta Hai,
Uska Zikr Surur Deta Hai,
Uske Dar Par Jo Bhi Mangta Hai,
Khuda Use Zarur Deta Hai….
– Jumma Mubarak –

ऐ अल्लाह एक मौका हमको भी दे सफ़र-ए-मक्का का,
सुना है तेरे घर और जन्नत में कोई फर्क नहीं….
– जुम्मा मुबारक –
Ai Allah Ek Mauka Humko Bhi De Safar-e-Makka Ka,
Suna Hai Tere Ghar Aur Jannat Mein Koi Fark Nahin….
– Jumma Mubarak –

वो चमक चाँद में है न सितारों में है,
जो मदीने के दिलकश नज़ारों में है,
बेज़ुबान पत्थरों को भी बख़्श दी ज़ुबान,
इतनी ताकत मेरे नबी के इशारों में है….
– जुम्मा मुबारक –
Wo Chamak Chand Mein Hai Na Sitaron Mein Hai,
Jo Madine Ke Dilkash Nazaron Mein Hai,
Bezuban Pattharon Ko Bhi Bakhsh Di Zuban,
Itni Taqat Mere Nabi Ke Isharon Mein Hai….
– Jumma Mubarak –