Saba Afghani – Ai Waaiz-E-Naadan Karta Hai Tu Ek Qayamat Ka Charcha

 Ai waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
Yahan roz nigaahein milti hain yahan roz qayamat hoti hai
Saba Afghani
ऐ वाइज़-ए-नादां करता है तू एक क़यामत का चर्चा, 
यहाँ रोज़ निगाहें मिलती हैं यहाँ रोज़ क़यामत होती है
सबा अफ़्ग़ानी

Naam Shayari

tumhare naam se dunia mujhe pehchaan leiti hai
main wo khoyi huyi cheej hun, jiska pata tum ho
Unknown
तुम्हारे नाम से दुनिया मुझे पहचान लेती है 
मैं वो खोई हुई चीज हूं, जिसका पता तुम हो
अज्ञात

Jaun Elia – Meri Aql-o-Hosh Ki Sab Haalatein

meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanchein mein junoon ke dhaal deein
kar lia tha maine ahd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahein gale mein daal deein
Jaun Elia
मेरी अक्ल-ओ-होश की सब हालतें
तुमने साँचें में जुनू के ढाल दीं
कर लिया था मैंने अहद-ए-तर्क-ए-इश्क
तुमने फिर बाहें गले में डाल दीं
जौन एलिया

Yaqeen Inamullah Khan – Kya Badan Hoga Ki Jis Ke Kholte Jaame Ka Band

kya badan hoga ki jis ke kholte jaame ka band
barg-e-gul ki tarah har naakhun moattar ho gaya
Yaqeen Inamullah Khan

क्या बदन होगा कि जिस के खोलते जामे का बंद
बर्ग-ए-गुल की तरह हर नाख़ुन मोअत्तर हो गया

यक़ीन इनामुल्लाह खान