Kaif Bhopali – Tum Se Na Mil Ke Khush Hain

gulab shayari by kaif bhopali
gulab shayari

‘तुम से न मिल के ख़ुश हैं’, वो दावा किधर गया,
दो रोज़ में गुलाब सा चेहरा उतर गया….
– कैफ भोपाली

‘Tum Se Na Mil Ke Khush Hain’, Wo Dava Kidhar Gaya,
Do Roz Mein Gulab Sa Chehra Utar Gaya….
– Kaif Bhopali

Mere DinRaat Ka Khayaal Ho Tum

मेरे दिनरात का ख्याल हो तुम,
मेरे जीने का आधार हो तुम..!!
बिछड़ के तुमसे कहाँ जाऊंगी,
मेरी जान मेरी पहचान हो तुम..!!

Mere DinRaat Ka Khayaal Ho Tum,
Mere Jeene Ka Aadhaar Ho Tum..
Bichhad Ke Tumse Kahan Jaaungi,
Meri Jaan Meri Pehchaan Ho tum..

 

Saifi Saronji – Apni Khushiyan Bhool Ja….

eid mubarak shayari by saifi saronji
Eid mubarak shayari by Saifi Saronji

अपनी ख़ुशियाँ भूल जा सब का दर्द ख़रीद
‘सैफ़ी’ तब जा कर कहीं तेरी होगी ईद
– सैफ़ी सरौंजी

Apni Khushiyan Bhool Ja Sab Ka Dard Khareed,
‘Saifi’ Tab Ja Kar Kahin Teri Hogi Eid….
– Saifi Saronji
– Eid Mubarak –

Mushafi – Wadon Hi Pe Har Roz Meri….

eid mubarak shayari by mushafi
Eid mubarak shayari by Mushafi

वादों ही पे हर रोज़ मेरी जान न टालो,
है ईद का दिन अब तो गले हमको लगा लो….
– मुसहफ़ी

Wadon Hi Pe Har Roz Meri Jaan Na Talo,
Hai Eid Ka Din Ab To Gale Humko Laga Lo….
– Mushafi
– Eid Mubarak –

Chand Ko Dekh Kar Muskurana….

चाँद को देख कर मुस्कुराना बेशक ईद है,
लेकिन इंसान इंसान को देख कर मुस्कुराये तो रोज ईद है….

Chand Ko Dekh Kar Muskurana Beshak Eid Hai,
Lekin Insan Insan Ko Dekh Kar Muskuraye To Roj Eid Hai….

Kaash Ke In Aankhon Ko Bhi….

काश के इन आँखों को भी ईद मयस्सर हो जाए,
मुद्दतों के रोज़े की चाँद रात हो, तेरा दीदार ग़र मुक़द्दर हो जाए….

Kaash Ke In Aankhon Ko Bhi Eid Mayassar Ho Jaye,
Muddaton Ke Roze Ki Chand Raat Ho, Tera Didar Gar Mukaddar Ho Jaye….

Jaleel Nizami – Mah e Nau Dekhne….

माह-ए-नौ देखने तुम छत पे न जाना हरगिज़,
शहर में ईद की तारीख़ बदल जाएगी….
– जलील निज़ामी

Mah e Nau Dekhne tum Chhat Pe Na Jana Hargiz,
Shahar Mein Eid Ki Tareekh Badal Jayegi….
– Jaleel Nizami

Mil Lenge Hum Apne Hi Gale

मिल लेंगे हम अपने ही गले में बाहें डाल कर,
ऐ भूले हुए शख़्स…. तुझे ईद मुबारक….

Mil Lenge Hum Apne Hi Gale Mein Baahein Dalkar,
Ai Bhoole Huye Shakhs…. Tujhe Eid Mubarak….

Tripurari – Ai Hawa Tu Hi Use Eid Mubarak Kahiyo

ऐ हवा तू ही उसे ईद-मुबारक कहियो,
और कहियो कि कोई याद किया करता है….
– त्रिपुरारी

Ai Hawa Tu Hi Use Eid Mubarak Kahiyo,
Aur Kahiyo Ki Koi Yaad Kiya Karta Hai….
– Tripurari