Mushafi Ghulam Hamdani – Eid Tu Aa Ke….

ईद तू आ के मिरे जी को जलावे अफ़्सोस,
जिस के आने की ख़ुशी हो वो न आवे अफ़्सोस….
– मुसहफ़ी ग़ुलाम हमदानी

Eid Tu Aa Ke Mire Ji Ko Jalave Afsos,
Jis Ke Aane Ki Khushi Ho Wo Na Aave Afsos….
– Mushafi Ghulam Hamdani

Us Meharban Nazar Ki Inayat Ka Shukriya

उस मेहरबाँ नज़र की इनायत का शुक्रिया,
तोहफ़ा दिया है ईद पे हम को जुदाई का….
– ईद मुबारक –

Us Meharban Nazar Ki Inayat Ka Shukriya,
Tohfa Diya Hai Eid Pe Hum Ko Judai Ka….
– Eid Mubarak –

Zafar Iqbal – Tujh Ko Meri Na Mujhe Teri

तुझ को मेरी न मुझे तेरी ख़बर जाएगी
ईद अब के भी दबे पाँव गुज़र जाएगी
– ज़फ़र इक़बाल

– ईद मुबारक –

Tujh Ko Meri Na Mujhe Teri Khabar Jayegi
Eid Ab Ke Bhi Dabe Paaon Guzar Jayegi
– Zafar Iqbal

– Eid Mubarak –

Mil Ke Hoti Thi Kabhi Eid

मिल के होती थी कभी ईद भी दिवाली भी,
अब ये हालत है कि डर डर के गले मिलते हैं….
– ईद मुबारक –

Mil Ke Hoti Thi Kabhi Eid Bhi Diwali Bhi,
Ab Ye Haal Hai Ki Dar Dar Ke Gale Milte Hain….
– Eid Mubarak –

Dil Mein Mohabbaton Ke Diye Fir Se Jalenge

दिल में मोहब्बतों के दिए फिरसे जलेंगे
बजरंग, अली प्यार से जब ईद मिलेंगे
जम्हूरियत के वास्ते हम ईद की नमाज़
गंगा तेरे पानी में वज़ू करके पढेंगे
– आसिफ
– ईद मुबारक –

Dil Mein Mohabbaton Ke Diye Fir Se Jalenge,
Bajrang, Ali Pyar Se Jab Eid Milenge….
Jamhuriyat Ke Vaste Hum Eid Ki Namaz,
Ganga Tere Paani Mein Vazu Karke Padhange….
– Asif
– Eid Mubarak –

Har Dard Ki Shiddat Chhipayi Jayegi

हर दर्द की शिद्दत छिपाई जाएगी,
ईद तो ईद है आखिर मनाई जाएगी….
– ईद मुबारक –

Har Dard Ki Shiddat Chhipayi Jayegi,
Eid To Eid Hai Aakhir Manayi Jayegi….
Eid Mubarak

Qamar Badayuni – Eid Ka Din Hai

ईद का दिन है गले आज तो मिल ले ज़ालिम,
रस्म-ए-दुनियाँ भी है, मौक़ा भी है, दस्तूर भी है….
– क़मर बदायुनी
ईद मुबारक

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim,
Rasm e Duniyan Bhi Hai, Mauka Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai….
– Qamar Badayuni
Eid Mubarak

Is Tarha Se Khush Aamdeed Ho Gayi

इस तरहा से, खुश आमदीद हो गई,
वो छत पर आई, और ईद हो गई….
– ईद मुबारक –

Is Tarha Se, Khush Aamdeed Ho Gayi,
Wo Chhat Par Aayi, Aur Eid Ho Gayi….
Eid Mubarak

Eid Feeki Lag Rahi Hai

ईद फीकी लग रही है,
इश्क़ की तासीर भेज….
आके मिल या फिर,
लिबास ए ईद में तस्वीर भेज….
– ईद मुबारक –

Eid Feeki Lag Rahi Hai,
Ishq Ki Taseer Bhej….
Aake Mil Ya Fir,
Libaas e Eid Mein Tasveer Bhej….
Eid Mubarak

Eid Aai Tum Na Aaye

ईद आई तुम न आए क्या मज़ा है ईद का,
ईद ही तो नाम है इक दूसरे की दीद का….
– ईद मुबारक –

Eid Aai Tum Na Aaye, Kya Maza Hai Eid Ka,
Eid Hi To Naam Hai, Ek Dusre Ki Deed Ka….
– Eid Mubarak –