Jaun Elia – Yun To Apne Qaseedan-E-Dil Ke Paas

Yun to apne qaseedan-e-dil ke paas
Jaane kis kis ke liye paighaam hain
Jo likhe jaate rahe auron ke naam
Mere wo khat bhi tumhare naam hain
Jaun Elia
यूँ तो अपने क़सीदान-ए-दिल के पास
जाने किस किस के लियें पैग़ाम हैं
जो लिखे जाते रहे औरों के नाम
मेरे वो ख़त भी तुम्हारे नाम हैं
जौन एलिया

Jaun Elia – Mar Chuka Hai Dil Magar Zinda Hun Main

Mar chuka hai dil magar zinda hun main
Zahar jaisi kuchh dawayen chahiyen
Poochhte hain aap, ‘aap achhe to hain’ ?
Ji, main achha hun, duaayen chahiyen
Jaun Elia
मर चुका है दिल मगर ज़िन्दा हूँ मैं
ज़हर जैसी कुछ दवाएँ चाहियें
पूछते हैं आप, ‘आप अच्छे तो हैं’ ?
जी, मैं अच्छा हूँ, दुआएं चाहियें’

जौन एलिया

Jaun Elia – Bohat Dil Ko Kushada Kar Liya Kya ?

 

Bohat Dil Ko Kushada Kar Liya Kya ?
Zamaanay Bhar Se Waada Kar Liya Kya ?
To Kya Sach Much Judai Mujh Se Kar Li ?
To Khud Apne Ko Aadha Kar Liya Kya ?

Hunar-Mandi Se Apne Dil Ka Safha,
Meri Jaan, Tum Ne Saada Kar Liya Kya ?
Bohat Nazdeek Aatay Ja Rahay Ho,
Bichhadne Ka Iraada Kar Liya Kya ?
Jaun Elia
 ———————————————————————–
बोहोत दिल को कुशादा कर लिया क्या ?
ज़माने भर से वादा कर लिया क्या ?
तो क्या सच मुच जुदाई मुझ से कर ली ?
तो खुद अपने को आधा कर लिया क्या ?
हुनर-मंदी से अपने दिल का सफहा,
मेरी जान, तुम ने सादा कर लिया क्या ?
बोहोत नज़दीक आते जा रहे हो,
बिछड़ने का इरादा कर लिया क्या?
जौन एलिया

Jaun Elia Best Sher O Shayari

Maine logon se mutaasir hona chhor diya ha
Kyun ke log wo nahin hotey jo nazar aaty hain
Jaun Elia
मैंने लोगों से मुतासिर होना छोड़ दिया है
क्यूँ के लोग वो नहीं होते जो नज़र आते हैं
जौन एलिया