Azhar Adeeb Shayari On Diwali

 Parcham hun roshni ka mira ehatram kar
Tareekiyon ka rasta roke khada hun mein
– Azhar Adeeb
परचम हूँ रौशनी का मिरा एहतिराम कर
तारीकियों का रास्ता रोके खड़ा हूँ मैं
– अज़हर अदीब

Nazir Akbarabadi – Diwali Shayari

 Har ik makaan mein jala fir diya diwali ka
Har ik taraf ko ujala hua diwali ka
Nazir Akbarabadi
हर इक मकाँ में जला फिर दिया दिवाली का
हर इक तरफ़ को उजाला हुआ दिवाली का
नज़ीर अकबराबादी

Diwali Shayari On Pataakha And Barood

Barood mein masla hai.. ke takneek mein kharaabi hai
Chhoot-ta nahin pataakha mera.. unki diwali jaari hai
बारूद में मसला है.. के तकनीक में खराबी है,
छूटता नहीं पटाखा मेरा.. उनकी दिवाली जारी है ।

Diwali Shayari on Mitti Ka Diya

China ke diyon aur pataakhon ka bahishkaar karein
Chalo is diwali desh ki mitti se pyaar karein
चाईना के दियों और पटाखों का बहिष्कार करें
चलो इस दिवाली देश की मिट्टी से प्यार करें

Dr Kumar Vishvas – Diwali Shayari

Ghar ko deepak mile, aakash ko mehtaab mile,
Is diwali pe in aankhon ko, tera khwab mile.
Dr Kumar Vishvas 
#HappyDiwali
“घर को दीपक मिले, आकाश को महताब मिले, 
इस दिवाली पे इन आखोँ को, तेरा ख्वाब मिले.” 
डॉ कुमार विश्वास
#HappyDiwali