Jaleel Manikpuri – Ya Khuda Dard-E-Mohabbat Mein Asar Hai Ki Nahin

 Ya khuda dard-e-mohabbat mein asar hai ki nahin
Jis pe marta hun use meri khabar hai ki nahin
Jaleel Manikpuri
या ख़ुदा दर्द-ए-मोहब्बत में असर है कि नहीं
जिस पे मरता हूँ उसे मेरी ख़बर है कि नहीं
जलील मानिकपुरी

Dil Shayari

 Kaise bhoolun kisne toda, kaise toda, kyun toda
Dhoond raha hun in galiyon mein dil ke tukde muddat baad
कैसे भूलूं किसने तोड़ा, कैसे तोड़ा, क्यूँ तोड़ा,
ढूँढ रहा हूं इन गलियों में दिल के टुकड़े मुद्दत बाद

Haqiki Shayari

 Na jaane kitni ankahi baatein saath le jaayenge
Log jhooth kehte hain ki.. khaali haath aaye the khaali haath jaayenge
ना जाने कितनी अनकही बातें साथ ले जाएंगे
लोग झूठ कहते हैं कि.. खाली हाथ आए थे खाली हाथ जाएंगे

Jaun Elia – Bohat Dil Ko Kushada Kar Liya Kya ?

 

Bohat Dil Ko Kushada Kar Liya Kya ?
Zamaanay Bhar Se Waada Kar Liya Kya ?
To Kya Sach Much Judai Mujh Se Kar Li ?
To Khud Apne Ko Aadha Kar Liya Kya ?

Hunar-Mandi Se Apne Dil Ka Safha,
Meri Jaan, Tum Ne Saada Kar Liya Kya ?
Bohat Nazdeek Aatay Ja Rahay Ho,
Bichhadne Ka Iraada Kar Liya Kya ?
Jaun Elia
 ———————————————————————–
बोहोत दिल को कुशादा कर लिया क्या ?
ज़माने भर से वादा कर लिया क्या ?
तो क्या सच मुच जुदाई मुझ से कर ली ?
तो खुद अपने को आधा कर लिया क्या ?
हुनर-मंदी से अपने दिल का सफहा,
मेरी जान, तुम ने सादा कर लिया क्या ?
बोहोत नज़दीक आते जा रहे हो,
बिछड़ने का इरादा कर लिया क्या?
जौन एलिया

Jaun Elia Best Sher O Shayari

Maine logon se mutaasir hona chhor diya ha
Kyun ke log wo nahin hotey jo nazar aaty hain
Jaun Elia
मैंने लोगों से मुतासिर होना छोड़ दिया है
क्यूँ के लोग वो नहीं होते जो नज़र आते हैं
जौन एलिया