Nafraton Ke Shahar Mein Shayari –

नफरतों के शहर में चालाकियों के डेरे हैं,
यहाँ वो लोग रहते हैं जो तेरे मुँह पे तेरे और मेरे मुँह पे मेरे हैं….
Nafraton Ke Shahar Mein Chalakiyon Ke Dere Hain,
Yahan Wo Log Rehte Hain Jo Tere Muhn Pe Tere Aur Mere Muhn Pe Mere Hain…
Bik Rahi Mohabbat Bemol –

कब मैंने कहा प्यार चाहिए,
नफरतों के शहर में बिक रही मुहब्बत बेमोल, खरीदार चाहिए….
Kab Maine Kaha Pyar Chahiye,
Nafraton Ke Shahar Mein Bik Rahi Mohabbat Bemol, Kharidaar Chahiye….
Nafraton Ke Teer Shayari –

नफरतों के तीर खा कर दोस्तों के शहर में,
हम ने किस-किस को पुकारा यह कहानी फिर सही….
Nafraton Ke Teer Kha Kar Doston Ke Shahar Mein,
Hum Ne Kis-Kis Ko Pukara Yeh Kahani Fir Sahi….
Nafraton Ke Pinjre Shayari –

निकल के देखो कभी नफरतों के पिंजरे से,
तमाम शहर का मंज़र खुला सा लगता है….
Nikal Ke Dekho Kabhi Nafraton Ke Pinjre Se,
Tamam Shahar Ka Manzar Khula Sa Lagta Hai….
Nafraton Ke Shahar Mein-

क्या हाल पूछते हो हमारे कारोबार का,
मोहब्बत बेचता हूँ नफरतों के शहर में….
Kya Haal Puchhte Ho Hamare Karobar Ka,
Mohabbat Bechta Hun, Nafraton Ke Shahar Mein….
Nafraton Ke Shahar Mein Tha Jamghata –

नफ़रतों के शहर में था जमघटा,
प्रेम नगरी में ही सैलानी न था….
Nafraton Ke Shahar Mein Tha Jamghata,
Prem Nagri Mein Hi Sailani Na Tha….
Pyar Bas Ek Khwab Hai –

नफरतों के शहर में प्यार बस एक ख्वाब है,
नींद तक सब ठीक है आँखे खुली तो खाक है….
Nafraton Ke Shahar Mein Pyar Bas Ek Khwab Hai,
Neend Tak Sab Theek Hai, Aankhein Khuli To Khaak Hai….